Akber Nay Sina Khai audio file
Akber Nay Sina Khai
(Haaye akbar, haay haay akbar) x2
(Akber nay sina khai shabbir ki binae baqi na rahi) x2

Ojhal nahi rakha tha ankhon sey jissey mainey
Who mer gaya ab mujhko jeeney ki tamanna bhi baqi na rahi
(Akber nay sina khai shabbir ki binae baqi na rahi) x2
Laoon gi dulhan uski her aik sey kehti thi
Armanon nay dam tora aura as bhi sehrey ki baqi na rahi
(Akber nay sina khai shabbir ki binae baqi na rahi) x2
Baitey ko ajal aaye maan zinda rahey kaisey
Baitey ki judai main who maan kahan jee pai baqi na rahi
(Akber nay sina khai shabbir ki binae baqi na rahi) x2
Akber terey merney sey teri phoopi zainab ko
Jo saans thi seeney main jo aas thi jeeney ki baqi na rahi
(Akber nay sina khai shabbir ki binae baqi na rahi) x2
Such pooch to tooti hai who seena e sarwar main
Kehtey thay shahey wala taqat merey baazo ki baqi na rahi
(Akber nay sina khai shabbir ki binae baqi na rahi) x2
Dam tortey baitey sey maula nay kaha baita
Doon kaisey tujhey paani abbas ki saqai baqi na rahi
(Akber nay sina khai shabbir ki binae baqi na rahi) x2
Thokar kabhi khatey they kertey they kabhi haaye
Athara baras ki jo zainab ki amanat thi baqi na rahi
(Akber nay sina khai shabbir ki binae baqi na rahi) x2
Her aankh karey girya "rehan" kahey aakhir
Ab merey qalam main jo kuch likhney ki taqat thi baqi na rahi