Farmaney Lagey Sarwar audio file
Farmaney Lagey Sarwar
(Khaimey main chali jao) x4
(Farmaney lagey sarwar zainab sey tahey khanjar Khaimey main chali jao) x2
Farmaney lagey sarwar zainab sey tahey khanjar Khaimey main chali jao
Her waqt tera chehra ghumeyga nigahon main
(Derwaza e khaima sey) x2 niklo na abhi bahar Khaimey main chali jao
Farmaney lagey sarwar zainab sey tahey khanjar Khaimey main chali jao
Yeh bhi hai khabar tum ko seh roz sey piyasa hoon
(Zinda hon abhi to main) x2 niklo nahin bey chadar Khaimey main chali jao
Farmaney lagey sarwar zainab sey tahey khanjar Khaimey main chali jao
Abid ki qayadat main derbar main jaana hai
(Islam bachaney ko) x2 khaney hain tumhain pathar Khaimey main chali jao
Farmaney lagey sarwar zainab sey tahey khanjar Khaimey main chali jao
Dauran e safar tum ko kerna hai mera matam
(Sehmey hoye bachon ko) x2 behlao abhi ja ker Khaimey main chali jao
Farmaney lagey sarwar zainab sey tahey khanjar Khaimey main chali jao
Bersey ga museebat ka khaimon pey abhi badal
(Chadar abhi lutni hai) x2 jalna hai abhi bistar Khaimey main chali jao
Farmaney lagey sarwar zainab sey tahey khanjar Khaimey main chali jao
Tayar kharey hain kuch hathon main liyey pathar
(Kis terha sey daikho gi) x2 manzar yeh tahey khanjar Khaimey main chali jao
Farmaney lagey sarwar zainab sey tahey khanjar Khaimey main chali jao
Main naizey sey daikhon gat a sham safar tera
(Is waqt to ae zainab) x2 paamali ki hoon zad per Khaimey main chali jao
Farmaney lagey sarwar zainab sey tahey khanjar Khaimey main chali jao
Qad sey bhi kaheen berh ker shahzadi ko yeh gham tha
(Qurban main ho jaati) x2 yeh hukm na hota ger Khaimey main chali jao