Mei Zainab hu(n)
Khitab kerti thi Zehra ki ladli beti
Yazeedi fauj say kuch is terha ba ghaiz o ghazab
Hussain bhai hai mera pidar hai shah e arab
Yazeed hai mujhay maloom tera naam o nasab
Main sans laina bhi tujh par haram kar doongi
Tabah khutbon say main taqt o taj kar doongi
(Main zainab hoon main zainab hoon) x3
(Main zainab hoon main zainab hoon) x2
(Main zainab hoon main zainab hoon) x2
Main apnay iradon main Haidar ki shujat hoon
Khutbon say gira doon gi main zulm ka har khaibar
(Main zainab hoon main zainab hoon) x2
Mehman bana kar bhi pani ko hai tarsaya
Ahmad ki nawasi main, tum zarf kay ho kamtar
(Main zainab hoon main zainab hoon) x2
Tum kaisay musalman ho Islam ko mara hai
Hum ilm ka darwaza tum jehl kay saudagar
(Main zainab hoon main zainab hoon) x2
Jo baat hamari hai wo baat hai qurani
Utra hai salami ko tara meri chaukhat par
(Main zainab hoon main zainab hoon) x2
Tum uski nawasi ko darbar main laye ho
Jo rehmat e alam hai jo sabr ka hai paikar
(Main zainab hoon main zainab hoon) x2
Tum hum ko rulanay ko bazaar sajatay ho
Keh daiti hoon ae zalim dar qehr e Khuda say dar
(Main zainab hoon main zainab hoon) x2
Zinda jo kahin hota Abbas mera bhayya
Lut tan a hamara ghar chinti na meri chadar
(Main zainab hoon main zainab hoon) x 4