Qaydiyon ka jashn
(Haay haay shaam, haaye bazaar) x3
Qaidyon ka jashn kab hai sham key bazar main
(Qaidyon ka jashn kab hai sham key bazar main) x2
Theen usi naizey key neechey bibian bazaar main
(Qaidyon ka jashn kab hai sham key bazar main) x2
Unglian naizon ki soorat chubh gain rukhsar main
(Qaidyon ka jashn kab hai sham key bazar main) x2
Taigh khutbon ki chali jis dum bharey darbar main
(Qaidyon ka jashn kab hai sham key bazar main) x2
Haun daikhey jo hain qalb e Abid e beemar main
(Qaidyon ka jashn kab hai sham key bazar main) x2
Kab talak kunba rahey ga narghaey kuffar main
(Qaidyon ka jashn kab hai sham key bazar main) x2
Sainkaron chaley they paye Zainab e ghumkhwar main
(Qaidyon ka jashn kab hai sham key bazar main) x2
Ashk e Zainab dhal gaye ab to lahoo ki dhaar main
(Qaidyon ka jashn kab hai sham key bazar main) x2
Shor hai matam ka zindan key dar o deewar main
(Qaidyon ka jashn kab hai sham key bazar main) x2
Intehaye dard hai nohay key in ashaar main