Aap agar ajatey baba audio file
Aap agar ajatey baba
Aaey jab sham-e-ghraiban main ali duldul sawar, jalti reti say uthi zehra ki beti be qaraar, bap kay qadmon say lipti aur ye rokar kaha
(Aap agar ajatey baba Aap agar ajatey baba) x3
(Aap agar ajatey baba Aap agar ajatey baba) x2
Aap agar ajatey baba sar pay reh jati rida
Aap agar ajatey baba chheenta na shimr chadar
(Aap agar ajatey baba Aap agar ajatey baba) x2
Main bohat majboor thi darya say khemey door they
Aap agar ajatey baba khushk na rehtey ye saghar
(Aap agar ajatey baba Aap agar ajatey baba) x2
Ro rahi thi karbala ki dhoop is tanhai par
Aap agar ajatey baba qatl na hota baradar
(Aap agar ajatey baba Aap agar ajatey baba) x2
Hogai tanha bhari dunya main beti Aap ki
Aap agar ajatey baba yoon naheen lut ta bhara ghar
(Aap agar ajatey baba Aap agar ajatey baba) x2
Akbar o abbas o asghar qasim-e-ibne hassan
Aap agar ajatey baba daagh na sehti yeh dil par
(Aap agar ajatey baba Aap agar ajatey baba) x2
Dhoondti phirti thi woh baba ka seena dasht main
Aap agar ajatey baba dekh na patey woh manzar
(Aap agar ajatey baba Aap agar ajatey baba) x2
Aap agar ajatey na main dekhti ghurbat ki shaam
Aap agar ajatey baba khak na hoti saron par
(Aap agar ajatey baba Aap agar ajatey baba) x2
Dil mera weeran hay karb-o-bala abad hay
Aap agar ajatey baba zulm na hotey yeh mujh par
(Aap agar ajatey baba Aap agar ajatey baba) x2
Jis ghari baali sakina kay gohar cheeney gaey
Aap agar ajatey baba kanon say chhintey na gohar
(Aap agar ajatey baba Aap agar ajatey baba) x2