Shaam-e-ghariba
(Shaame Ghareebaan, Shaame Ghareebaan) x2
(Shaame Ghareebaan, Shaame Ghareebaan) x3
Had hogayi ek bundh bhi paani na diya hai
Rota raha hai pyaas se, Asgher sa be zubaan
(Shaame Ghareebaan, Shaame Ghareebaan) x3
Paamaal huwa dasht me, Shabbir ka laasha
Ab tu hi bataade mera, Abbas hai kahaan
(Shaame Ghareebaan, Shaame Ghareebaan) x3
Khaimoke saath nanha sa jhoola bhi jal gaya
Phela huwa hai chaaro taraf dekhle dhuaan
(Shaame Ghareebaan, Shaame Ghareebaan) x3
Koi nahi hai mera madadgaar kya karun
Akber shaheed hogaye, ab kown de azaan
(Shaame Ghareebaan, Shaame Ghareebaan) x3
Abbas mere sar pe the saaye kiye huwe
Mei aaj tanhaa rehgai, aadaa ke darmiyaan
(Shaame Ghareebaan, Shaame Ghareebaan) x3
Roro ke din guzaarungi yaade imam me
Baandhi gai hain dekhiye shaanome rassiyaan
(Shaame Ghareebaan, Shaame Ghareebaan) x3
Zehra ki laadli hun me beti Ali ki hun
Kyun resmaan me baandhi gai, hai qalaaiyaan
(Shaame Ghareebaan, Shaame Ghareebaan) x3
Zainab ke bayn likh nahi sakta mera qalam
Chashme qalam se khun ke aansu huwe rawaan
(Shaame Ghareebaan, Shaame Ghareebaan) x3