Shabbir ne
Ay Yateeme Mujtaba, Ay Yateeme Mujtaba, Ay Yateeme Mujtaba
(Shabbir (A.S.) ne yun laasha-e Qaasim (A.S.) ko uthaaya) x2

Ek Ek uzu' khaak pe bikhra tha badan ka
Pamal badan kistarha maula ne uthaaya
(Shabbir (A.S.) ne yun laasha-e Qaasim (A.S.) ko uthaaya) x2
Kab lowt ke maidaanse lakhte jigar aae
Jab lakhte jigar aaya to munh ko jigar aaya
(Shabbir (A.S.) ne yun laasha-e Qaasim (A.S.) ko uthaaya) x2
Jaane lagi jab dasht mein Qaasim (A.S.) ki sawaari
Shabbir (A.S.) ne maa ki tarah sine se lagaaya
(Shabbir (A.S.) ne yun laasha-e Qaasim (A.S.) ko uthaaya) x2
Dekhi wohi poshaake lahu range jahaa ne
Ek shab ka banaa khun mein is tarha nahaaya
(Shabbir (A.S.) ne yun laasha-e Qaasim (A.S.) ko uthaaya) x2
Taweez mein tehreer yehi ek sukhan tha
Qaasim (A.S.) mere Shabbir (A.S.) ka fidya hai khudaaya
(Shabbir (A.S.) ne yun laasha-e Qaasim (A.S.) ko uthaaya) x2
Ay laal shahaadat ka maza hota hai kaisa
Qaasim (A.S.) ne kahaa shehd se sheerin hai ziyaada