Chehlum-e-Hussain
(Chehlum hai Azaadaron, Hussain Ibn-e-Ali ka) x3
(Chehlum hai Azaadaron, Hussain Ibn-e-Ali ka) x2
Dehleez pe Ahmed ko rukte huwe dekha
Qur’aan samajh kya hai, qaseeda hai inhi ka
(Chehlum hai Azaadaron, Hussain Ibn-e-Ali ka) x2
Fitrus ko baal-o-par bhi miljaate hain logon
Daaman na sameto tum, ye dar hai sakhi ka
(Chehlum hai Azaadaron, Hussain Ibn-e-Ali ka) x2
Aaghoshe Muhammad ne ise naazonse paala
Roko na ise logon ye maatam hai usi ka
(Chehlum hai Azaadaron, Hussain Ibn-e-Ali ka) x2
Is tarah se chehlum tha shah-e-karbobalaa ka
Ghaazi ko bulaati thi jo tha sher-e-Ali ka
(Chehlum hai Azaadaron, Hussain Ibn-e-Ali ka) x2
Insaan to kujaa giryaa ye tha arsh bareen par
Zarron mein bikharta hai badan Ibn-e-Ali ka
(Chehlum hai Azaadaron, Hussain Ibn-e-Ali ka) x2
Khanjar jo chalaa samjhi yehi zainab ham dard
Zainab ko zamaana wo yaad aaya nabi ka
(Chehlum hai Azaadaron, Hussain Ibn-e-Ali ka) x2
Tere baad mere bhaai looti meri bhi chaadar
Har dard sunaati thi musibat ki ghari ka
(Chehlum hai Azaadaron, Hussain Ibn-e-Ali ka) x2
Zindaan basaaya or judaa hogayi ham se
Haae mil na sakaa bhayya kafan teri kali ka
(Chehlum hai Azaadaron, Hussain Ibn-e-Ali ka) x2
"Yawar" ko mile maula haan lafzon ki rawaani
Be shak ye aqeedah hai har zindaan dili ka