Abbas aa rahe hai
(Ek shor hai, al amaan) x4
(Abbas aa rahe hai) x2
(Ek shor hai, al amaan) x4
(Abbas aa rahe hai) x2
(Ek shor hai, al amaan) x4
(Abbas aa rahe hai) x2
Ek haath mein alam aur mashke sakina
(Abbas aa rahe hai) x2
Ek haath mein alam aur mashke sakina
(Abbas aa rahe hai) x4
Darya ko chin lena nahi kaam der ka
Ehsan tishnagi me hilega na ghair ka
(Bighra hua mizaj hai) x2
Bighra hua mizaj jai hyder ke sher ka
(Abbas aa rahe hai) x2
Aankho se jaakhta hua wan najal ka surur
Bala kadi hai aaisi ke sharmae koheyr
(Zulfe daraz aisi) x2
Zulfe daraz aisi ke wal lail ka shaur
(Abbas aa rahe hai) x2
Aankhe jukawo sher ki janib na dekhna
Kaise bache ye jaan ye lazim hai sochna
(Abbas hai jalaal mai) x2
Abbas hai jalaal mai hargiz na tokna
(Abbas aa rahe hai) x2
Tege nazarse iski khuda hi bachayega
Aaya jo samne koi who mara jayenga
(Ek mashk me furat ko) x2
Ek mashk me furat ko bharkar dikhaega
(Abbas aa rahe hai) x2
Paani ko dekha phat gayaa abbas ka jigar
Aankhe lahu lahu hui bachcho ki pyas par
(Baali sakina bacho se) x2
Baal sakina bacho se kehti rahi udhar
(Abbas aa rahe hai) x2
Jumbish alam ki dekh ke deti thi yeh khabar
Tishna labo dua me tumhari hua asar
(Who dekho aa raha hai) x2
Wo dekho aa raha hai chacha ka alam nazar
(Abbas aa rahe hai) x2
Zainab ne sar ko pitt ke shabbir se kaha
Kyun kham kamar hai aap ki gaazi kaha gaya
(Bole hussain ab koi) x2
Bole hussain ab koi pyaasa na de sadaa
(Abbas aa rahe hai) x2
(Abbas aa rahe hai) x2
(Ek shor hai, al ama) x4