Maula Aagae, Maula Aagae audio file
Maula Aagae, Maula Aagae
Kaabe ke sanam, tum kya jaano
Tumhe torne waala aaya hai
Hoke na khuda jo khudai kare
Ek aisa insaan aaya hai
(Maula Aagae, Maula Aagae) x2
Abu Jahal aur Abu Lahab ke, sapne chakna chur huwe
Aae nabi daaman phelaae, Rahmat ke baadal lehraae
Jhuum ke aai bahaar
(Maula Aagae, Maula Aagae) x2
Dosh-e-Nabi par Ali (A.S.) jo aae, wahdat ka izhaar huwe
Roshan huwe Mohr-e-Nabuwwat, Jaag uthi kaabe ki qismat
Buth hogayi masmaar
(Maula Aagae, Maula Aagae) x2
Baat koi jab ban nahi paai, ashaab-e Payghamber se
Aise mein hukme khaaliq aaya, Naade Ali (A.S.) ne asar dikhaaya
Jeet ne badli haar
(Maula Aagae, Maula Aagae) x2
Jaane kiska jalwa dekha, aankhonme hairaani hai
Raaz-e- Mashiyyat dil mein chupaae, Musa jisdam hosh mein aae
Labon pe thi ye pukaar
(Maula Aagae, Maula Aagae) x2
Tanhaa be bas jaan ke shaayad, Andeeshone ghera tha
Aise mein ek suraj utra, Mujhda farishtone ye sunaaya
Mat ghabraao zinhaar
(Maula Aagae, Maula Aagae) x2