Aey khak kay zaron aey tez hawaon audio file
Aey khak kay zaron aey tez hawaon
(Aey khak kay zaron aey tez hawaon) x2
(lasha kisi mazloom ka be gor-o-kafan hay) x2
(Aey khak kay zaron aey tez hawaon) x2
Aada ney woh kurta bhi na rehney diya tan par
Ab tum kafan is ka bano
Aey khak kay zaron aey tez hawaon
(lasha kisi mazloom ka be gor-o-kafan hay) x2
Aey khak kay zaron aey tez hawaon
mazloom ka tan ghoron say pamal say kia hay
aaza ko bikharney ney na do
Aey khak kay zaron aey tez hawaon
(lasha kisi mazloom ka be gor-o-kafan hay) x2
Aey khak kay zaron aey tez hawaon
Sar apna kataey hoeye jo ran main para hay
yeh ahmed-e-mukhtar ki godi ka pala hey
lillah aziyat na do
Aey khak kay zaron aey tez hawaon
(lasha kisi mazloom ka be gor-o-kafan hay) x2
Aey khak kay zaron aey tez hawaon
Hey dukhtar-e-mahboob khuda ka yeh dulara
yeh haider-e-karrar ki aankhon ka hey tara
laash is ki na barbad ho
Aey khak kay zaron aey tez hawaon
(lasha kisi mazloom ka be gor-o-kafan hay) x2
Aey khak kay zaron aey tez hawaon
Kat tey na agar bazoo-e-abbas-e-dilawar
yeh laash pari rehti na is tarha zameen par
ab tum hi hifazat karo
Aey khak kay zaron aey tez hawaon
(lasha kisi mazloom ka be gor-o-kafan hay) x2
Aey khak kay zaron aey tez hawaon
Lejatey na aabid ko agar kar kay giraftar
be ghusl o kafan rehtey na yoon syed-e-abrar
qaidi ki nayabat karo
Aey khak kay zaron aey tez hawaon
(lasha kisi mazloom ka be gor-o-kafan hay) x2
Aey khak kay zaron aey tez hawaon
Waris naheen moonis naheen koi naheen yawar
akbar hain na qasim hain na abbas-e-dilawar
dafnaney ka saman karo
Aey khak kay zaron aey tez hawaon
(lasha kisi mazloom ka be gor-o-kafan hay) x2
Aey khak kay zaron aey tez hawaon
Baqar haram-e-shah chaley janib-e-zindan
roey ga bhala kon sar-e-ganj-e-shaheedan
ab tum hi azadar ho
Aey khak kay zaron aey tez hawaon
(lasha kisi mazloom ka be gor-o-kafan hay) x2
Aey khak kay zaron aey tez hawaon