Ajjil ala zuhoor
Ajjil ala zuhoorika ya saahibal waqaar
Ajjil ala zuhoorika ya waaritha ddayaar
Sabze ke sar pe khaak hai, shabnam hai askbaar
Sadiya huwi chaman se guzarti nahi bahaar
Ab hai bahaar ka gule narjis pe in hisaar
Aaja ke hai zamaane ko bas tera intezaar
Ajjil ala zuhoorika ya saahibal waqaar
Ajjil ala zuhoorika ya waaritha ddayaar
Phir maaile zawaal hai mashriq ka aaftaab
Chaaya huwa fiza pe hai ilhaad ka sahaab
Khatre me pargaya hai shariyyat ka inqilaab
Uthi na ab to uthe gi kab teri zulfiqaar
Ajjil ala zuhoorika ya saahibal waqaar
Ajjil ala zuhoorika ya waaritha ddayaar
Beh ta hai khoone kushtae islaam joo ba joo
Ashko ke badle aankho se behne laga lahu
Yasrab ki har gali me chiragha hai chaar soo
Aur be chiraagh hai tere ajdaad ka mazaar
Ajjil ala zuhoorika ya saahibal waqaar
Ajjil ala zuhoorika ya waaritha ddayaar
Arze haram se mit ta hai imaan ka wujood
Asnaam banke baethe hai zurriyyate sa’ood
Nazre lagae baethe hai yasrab pe phir yahood
Tere siwa nahi koi haidar ka wirsadaar
Ajjil ala zuhoorika ya saahibal waqaar
Ajjil ala zuhoorika ya waaritha ddayaar
Aati nahi kahi se sukou ki kohi khabar
Badle kuch is tarha se sab andaaze khairo shar
Kafir hame banaate hai naslo ke bad gohar
Aale yahood ban gayi mazhab ki theke daar
Ajjil ala zuhoorika ya saahibal waqaar
Ajjil ala zuhoorika ya waaritha ddayaar