- Waqt-e-sehar hay ay jan-e-madar aisi azan day gounjey fiza
Allah ho akbar allah ho akbar allah ho akbar allah ho akbar
- Ay ham shabeeh-e-nabi ay jaan bint-e-ali (khaimey main hay noha gar ay lal teri phuphi) x2 betab hay woh teri zaban say nana ka lehja sunley zara
Allah ho akbar allah ho akbar allah ho akbar allah ho akbar
- Teri azan say pisar hil jaaen gaiy ahl-e-shar (hay jang ki ibtida ab teri awaz par) x2 rodey zaman ab youn azan day sooraj ayan ho ashoor ka
Allah ho akbar allah ho akbar allah ho akbar allah ho akbar
- Pala hay jisney tujhey roti hay woh dekh kay (hay aakhri yeh azan maloom hay yah usey) x2 kehti hay rokar hay terey deen par qurban akbar merey khuda
Allah ho akbar allah ho akbar allah ho akbar allah ho akbar
- Ay merey lakht-e-jigar aey meray noor-e-nazar (woh dekh chalney lagey talwar-o-teer-o-tabar) x2 teeron ki barish honey day beta barsaat ashkon ki ho zara
Allah ho akbar allah ho akbar allah ho akbar allah ho akbar
- Baba ka sun kar bayan laila ka karyal jawan (khaimey kay nazdeek tar deney laga jab azan) x2 ek hashr utha karb-o-bala main jis waqt akbar nay yeh kaha
Allah ho akbar allah ho akbar allah ho akbar allah ho akbar
- Har dil say nikli fughan roney lagi bibian (hojaaey tujh par fida yeh paalney wali maa) x2 ahl-e-haram kay yeh bain sunkar karti thi noha karb-o-bala
Allah ho akbar allah ho akbar allah ho akbar allah ho akbar
- Rotey they arsh-o-zameen rotey they jab shah-e-deen (laila hoen noha gar behosh zainab hoen) x2 har aik bibi kehti thi rokar teri azan hay ya marsia
Allah ho akbar allah ho akbar allah ho akbar allah ho akbar
- Aashoor ki yeh sehar laai hay gham ki khabar (bhai say aakar kaba zainab nay sar peet kar) x2 kesi azan hay kesi sahar hay dil doobta hay sunkar sada
Allah ho akbar allah ho akbar allah ho akbar allah ho akbar
- Roney lagey dojahan aur kaanp utha aasman (sughra kay kanon talak jis waqt pohnchi azan) x2 rokar duaaen karti thi sughra ho khairyat say akbar mera