Amma bazaar e shaam
Amma bazaar e shaam, aaya hai
Sar barehna hame, phiraya hai
Amma………
Lut gaya karbala me, aap ka ghar
Dafn karbal me hogaye Asghar
Khaime e fatema, jalaya hai
Dekh amma tere, hussain ko dekh x2
Teri aankho ke, noore ain ko dekh
Kaise neze pe sar, charaya hai
Amma poocha hai ye, sakina ne x2
Kya mera bhai ab bhi, pyasa hai
Paani kya aapne, pilaye hai
Chin ke sar se, aapki chadar x2
Or sakina, ke kaano se gohar
Haaye, amma hame, rulaye hai
Dekho sajjad ko, zara akar x2
Pusht par taaziyaane, kha kha kar
Nange pa dhoop mai, wo aaye hai
Dekho kulsum sar, barehna hai x2
Amma fizza bhi sar, barehna hai
Hamne baalo se mu, chupaaya hai
Sharm aati hai kaise, jaungi x2
Sar barehna hai kaise, jaungi
Amma bazaare shaam , aaya hai