- Ay jaan o dile haidar-e-karraar alamdaar
(Ay bekasoo muztar ke wafaa daar alamdaar) x4
- (Zakhmoo se badan chur hoa jaata hai jaago) x2 Ay meri siper mere wafadaar alamdar
(Ay bekasoo muztar ke wafaa daar alamdaar) x4
- (Taa umr mujhe tumne bas aaqa hi kahaa hai) x2 Bhai mujhe kehdoo zaraa ek baar alamdaar
(Ay bekasoo muztar ke wafaa daar alamdaar) x4
- (Soone nahi detaa tha jine khauf tumhara) x2 Abb chain se sooyege woh ashiraa alamdaar
(Ay bekasoo muztar ke wafaa daar alamdaar) x4
- (Aankho se lahu phaunch ke shabbir pukare) x2 Bhai ka karoo aakhri deedaar alamdaar
(Ay bekasoo muztar ke wafaa daar alamdaar) x4
- (Parde ke tahaffuz ka kiya jinse tha waada) x2 Kya unse kahe zainab-e-laachaar alamdaar
(Ay bekasoo muztar ke wafaa daar alamdaar) x4
- (Abbas baradar ki yeh ghurbat bhi to dekho) x2 Tanhaayee hai aur sayyade abrar alamdaar
(Ay bekasoo muztar ke wafaa daar alamdaar) x4
- (Uss fauj ke marne ka yakeen aaye to kaise) x2 Jiss fauj ka tum jaisa ho jarraar alamdaar
(Ay bekasoo muztar ke wafaa daar alamdaar) x4
- (Abb raato ko pehre bhalaa kaun rahega) x2 Abid hai faqat woh bhi hai beemaar alamdaar
(Ay bekasoo muztar ke wafaa daar alamdaar) x4
- (Hai yaad bilal aaj bhi baaba ki wasiat) x2 Shabbir se abtak ho khabardaar alamdaar