Sadadt-e-karbala
Chelum ko karbala mai jab aii wo bibiya
Sadadt-e-karbala
Har bibi kar rahi thi kuch iss tarha say girya.
1- kuch bibiya yaha kuch bibiya waha
karti rahi fuga x2
bikhri howi thi maqtal-e-sarwar mai ja baja.
2-ek bibi dastay khooni mai jati hai nahar pay
kahti bachasmay tar x2
abbas(as) deanay aii huu pursa shaheed ka
3-ghut ghut kay ladli teri zinda may mar gaii
turbat wahi bani
bhaiya wo qaid say na howi mar kay bhi riha
4- akbar ki qabar per yu howi laila noha gar
deakha na saal bhar
aii huu qaid sham say ab ho kay mai riha
5- banu yea bain karti thi ay meray bay zuban
maa dhoonday abb kaha
batla day hai kaha mera asghar ay karbala
6- qurban teray ay meray ma jaay bay watan
majboor thi bahain
zindan mai muja say teri aamaanat howi juda
7- rotay hai khas o aam tera sun kay yea kalam
ay shah kay ghulam
noha teray annes hai maqbool e bargah.