Sajjad chal sakta nahi audio file
Sajjad chal sakta nahi
Ablay hai paaoo mai sajjad chal sakta nahi x2
Taaziyana marnay waloo nay yea socha nahi
Ablay hai paaoo mai sajjad chal sakta nahi x2
1-
Tauk pahnaoo na iss ko, bairiya daloo na tum
Qaid hai zainab to abid (as), ab kahi jata nahi
2-
Bekafan lashoo ki khamoshi nay janay kya kaha
Karbala kay bad abid (a) sham tak bola nahi
3-
Kaan hai zakmi to ruk par hai tamacho kay nishan
Iss kay sar par abb yakinan baap ka saya nahi
4-
Zulm ki shidad say shayad jam gaya sara lahoo
Lakh zakhmi ho sakina(as) par lahoo bahta nahi
5-mahmilo ki maoo ki aghoos say jo gir gaay
Gir gaay bachay laaee nay kafla roka nahi
6-
Loot kar laay hai shami jab say zainab(as) ki rida
Ek pal abbas ka naizay pay sir rukta nahi
7-
Har kisi say kah raha hai mai nabi ki aal huu
Hai gurbat koii bhi sajjad (as) ki sunta nahi
8-
Ankh mai utra nahi akbar abi bazar-s-sham
Askh bahtay hai ali ankhoo say khoon bahta nahi