Kulsum ne mehmil
Kulsum ne mehmil ke jo parde ko uthaya
(Yasrab
nazar aaya) x4
(Apna tha watan aur) x3
paraya nazar aaya
Kulsum ne mehmil ke jo parde ko uthaya
(Yasrab
nazar aaya) x2
1. Muu dhamp ke rone lagi
ahmed ki
nawaasi,
viraan taro baam kay allah
yai udasi,
(ujra bani hashim ka) x3
Mohalla nazar aaya
Kulsum ne mehmil ke jo parde ko uthaya
(Yasrab
nazar aaya) x2
2. Wo galiya jaha aun o muhammad kabhi khele,
Abdulla wahaa
phirte thay khamosh akele,
(har simt me bacho ka) x3
sarapa nazar aaya
Kulsum ne mehmil ke jo parde ko uthaya
(Yasrab
nazar aaya) x2
3. Sugra ne khabar payi ke lawt
aaye musafir,
Khush hogayi roze
pe nabi kay
kiya hazir
(Kya
socha tha sugra ne) x3
use kya nazar
aaya
Kulsum ne mehmil ke jo parde ko uthaya
(Yasrab
nazar aaya) x2
4. ujri huwi
har maang ti har god thi
khali,
asger ka shalo ka tha sakina
ki thi baali,
(abbas ka parcham bhi) x3
akela nazar aaya
Kulsum ne mehmil ke jo parde ko uthaya
(Yasrab
nazar aaya) x2
5. Jis waqt ruki nana ke roze
pay amaari,
Nakay say giri khak pe wo dard ki
maari,
(rota huwa nana ka) x3
jo chehra nazar aaya
Kulsum ne mehmil ke jo parde ko uthaya
(Yasrab nazar aaya) x2
6. Sugra ne kaha amaa se ku goad hai khali,
ek aaha bhari banu
ne kuch muu se na boli,
(rone lagi jalta huwa) x3
jula nazar aaya
Kulsum ne mehmil ke jo parde ko uthaya
(Yasrab
nazar aaya) x2
7. Bin bhai kay dakhil huwi jo apne hi gar me,
Gash aagaya
takat na
rahi kalbo jigar mein,
(be goro kafan bhai
ka) x3
laasha nazar aaya
Kulsum ne mehmil ke jo parde ko uthaya
(Yasrab nazar aaya) x2
8. ujre me nazar aaye nahi
qasimo akber,
kehne lagi mein chor
gayi thi ye bhara gar,
(ghar kabr ke mahol mein)
x3
dhalta nazar aaya
Kulsum ne mehmil ke jo parde ko uthaya
(Yasrab nazar aaya) x2
9. Bistar to waha awno muhammad
ke saje the,
Aur taak mein
asgher ke khilone bhi rakhe
the,
(lekin na koyi khelne) x3
waala nazar aaya
Kulsum ne mehmil ke jo parde ko uthaya
(Yasrab nazar aaya) x2