Kaash
abbas na
maray jaatey
Kaash abbas na maray
jaatey (x5)
1.
Is tarha lagh ti
naa akber key kalejey mein sinah,
Is tarha hoti
naa sadaat key khaimo mei
fughaan
Yun naa zainab
key saharey jaatey
Kaash abbas na maray
jaatey (x2)
2.
Downo bazoo woh shehen shaa hai
wafa key thaamey
Laashey abbas pey
shabbir bukah kartey they
Bhaiyi tum baad
hamarey jaatey
Kaash abbas na maray
jaatey (x2)
3.
Ghardaney shaa pey
yun ran mei naa khanjar chalta
Yun naa khursheede
imamat naa sarey maqtal dhalta
Yun sar
neyzooh pey sar jaatey
Kaash abbas na maray
jaatey (x2)
4.
Hotey abbas dilawar to na khaimey jaltey
Shaam-e-Ghurbaat na sakina
ko tamachey laghtey
Ghosh waarey naa
utarey jaatey
Kaash abbas na maray
jaatey (x2)
5.
Hotey abbas tow chinti naa rida zainab
ki
Paawo mei
aabid-e-muztar key na beyri dalti
Taaziyaane bhi naa
marey jaatey
Kaash abbas na maray
jaatey (x2)
6.
Hokey paabande rasan sayyad-e-sajjad chaley
Neher ko
deikh ke rotey huwey yeh
kehney laghey
Sab watan saath
hamarey jaatey
Kaash abbas na maray
jaatey (x2)
7.
Aaj bhi aati hai yeh qabrey
sakina sey sadaa
Aei chacha laati
naa zindaan mei yun hamko qaza
Saath aghar hum bhi tumhare jaatey
8.
Haal-e-Akber jo koi pooch ta tha
noor-e-ali
Ro key zainab yahi kehti thi
sadaa noor-e-ali
Kaash abbas na maray jaatey
Kaash abbas na maray
jaatey (x6)