Ya Moosa-e-Kazim
(Yabna jaffer abur-raza) x3 Abur-Raza
(Ya musa-e-kazim) x2
(Ya musa-e-kazim) x2
Jiske dam se hai jafferi sare
Deen-o-mazhab sabak ibadat ke
Ham ko saye usi ke dar se mile
Tu saathwa mushkil khusha noor-e-janaab -e-sayyeda (Ya musa-e- kazim) x2
Saailon ke liye ye ata tujme
Rad jo hoti nahi kisi surat
Saas leti hai wo dua tujme
Tu saathwa mushkil khusha noor-e-janaab-e-sayyeda
(Almadad maula raza) x2
Jiske qabze mei raat hai din hai
Wo khurasaan ka hai shehzada
Har shifa uske dar pe mumkin hai
Tu saathwa mushkil khusha noor-e-janaab -e-sayyeda (Ya musa-e- kazim) x2
Uski chowkat pe de sada jo bhi
Joliyaa apni bhar ke laata hai
Ghamse milti hai usko aazaadi
Tu saathwa mushkil khusha noor-e-janaab -e-sayyeda (Ya musa-e- kazim) x2
Na tha beta ghareeb na bhaayi
Chand mazboor aye ujrat par
Lash raste se tere utwaayi
Tu saathwa mushkil khusha noor-e-janaab -e-sayyeda (Ya musa-e- kazim) x2
Karbala samara ke raste me
Bekafan momino ke laashe hai
Kufr dakhil huwa Madine mei
Tu saathwa mushkil khusha noor-e-janaab -e-sayyeda (Ya musa-e- kazim) x2
Tera sikka jahaan raa’ij hai
Ham to har imtihaan se guzrenge
Dene wala tuhi nata’ij hai
Tu saathwa mushkil khusha noor-e-janaab -e-sayyeda (Ya musa-e- kazim) x2
Kehke ya Musa ya bin-e-Jaffer
Nauha goyi karu qayama tak
Aur ghulaami karu dar-e-shah par
Tu saathwa mushkil khusha noor-e-janaab -e-sayyeda (Ya musa-e- kazim) x2
(Yabn-e-Jaffer abur-Raza)x2 Abur-Raza