Zainab bint-e-Ali
Ay munkaro nakir ,sunlo meri sada, tum ko nahi pataa ,zainab ka hu(n) fakir
Yeh Kabr nahi hai(n) uskaa hai aza khana jo bint-e-Murtaza hai Shabbir ki hamshir
(Zainab binte Ali) x8
Farshe majlis hai yaha(n) awo adab se betho
Sheh ki majlis ho bapa hukm dete hai yahi
(Zainab binte Ali) x8
Aawo betho tumhe talkeen sunata hu abhi
Kya tumhe yaad nahi hai madadghar meri
(Zainab binte Ali) x8
Saath aaya hai mere mera hawala bankar
Haa(n) kafan par bhi mere ye ibarat hai likhi
(Zainab binte Ali) x8
Ek aansoo ki barabar nahi baagh-e-jannat
Rone waalo ke liye parti hai nade ali
(Zainab binte Ali) x8
Ai khuda banda-e-zainab hai ye banda tera
Kya sawaal isse kare iske lab par hai abhi
(Zainab binte Ali) x8
Khayriyat puch ke momin ki chale jate hai
Khuch nahi keh te use jiske zamin ho bani
(Zainab binte Ali) x8
Chor do sare sawaalaat sunawo nawha
Per musalsal ye sadaa kabr se aati rahi
(Zainab binte Ali) x8
Majma-e-ahle sitam mei ye pukari ro ker
me wohi bibi hu(n) Jisko kehte hai nabi
(Zainab binte Ali) x8
Kabr me unse sawaalat nakirayn kabhi
aake Karde gi nahi jise bhi ho razi
(Zainab binte Ali) x8