Maa
·
Mowt ki aaghosh me, jab thak ke sojaati
hai maa
Tab kahi
jaakar sukoon, thora sa
paajati hai maa
·
Ruh ke rishte kiye,
gehraayia to dekhiye
Chowt lagti hai hamaare,
aur chilla ti hai maa
·
Kaampti awaaz se, kehti hai beta al wida
Saamna jab tak rahe, haathon
ko lehraati
hai maa
·
Saal barme yaa kabi,
hafte me jume raat ko
Zindagi bar ka sila, ek fatiha
paati hai maa
·
Apne pehlu me litaakar, aur tho the ki
tarha
Ek, baara, paanch chauda,
hamko sikhlaati hai maa
·
Sab se pehle jaan dena,
Fatima ke laal par
Raat bar auno muhammed, ko ye samjaati
hai maa
·
Allah Allah ibtihaade, sabr laila aur Hussein
Baap ne kenchi sina, sine ko sehlaati
hai maa
·
Shimr ke khanjar se ya,
sukhe ghale se phoochiye
Maa…idhar mooh se nikalta
hai… udhar aati hai maa
·
Apne gham ko bhool
kar, rote hai jo shabbir ko
Unke ashko ke liye,
janat se aajati hai maa