Haq Ka Irfan Jo Paaya audio file
Haq Ka Irfan Jo Paaya
Dil Main Quran Samaya Tau Ali(A.S) Yaad Aaya
Haq Ka Irfan Jo Paaya Tau Ali(A.S) Yaad Aaya
Yonus(A.S) O Khizr(A.S) Hoon, Ilyaas Ke Hazrat Musa(A.S)
Waqt In Per Bhi Jo (2) Aaya Tau Ali(A.S) Yaad Aaya
Haq Ka Irfan Jo Paaya Tau Ali(A.S) Yaad Aaya
Koi Aaye Ga Yahan Yeh Bhi Yaqeen Koi Naa Tha
Dar Jo Dewaar Main (2) Aaya Tu Ali(A.S) Yaad Aaya
Haq Ka Irfan Jo Paaya Tau Ali(A.S) Yaad Aaya
Who Thay Khaiber Main sabhi Yaar Na Ger Mere Yaar
Mard Ka Zikr Jab (2) Aaya Tu Ali(A.S) Yaad Aaya
Haq Ka Irfan Jo Paaya Tau Ali(A.S) Yaad Aaya
Khoon Ki Barsaat Hoyi Urte Hoye Sir Dekhe
Run Main Abbas(A.S) Jab (2) Aaya Tau Ali(A.S) Yaad Aaya
Haq Ka Irfan Jo Paaya Tau Ali(A.S) Yaad Aaya
Laakh Dhoonda kahi(n) Kuffar Ka Lashkar Na Mila
Saaf Maidaan Nazar (2) Aaya Tau Ali(A.S) Yaad Aaya
Haq Ka Irfan Jo Paaya Tau Ali(A.S) Yaad Aaya
Gham-e-Duniya Ne Mujhe Ghair Rakha Tha Phir Bhi
Haath Momin Se (2) Milaya Tau Ali(A.S) Yaa Aaya
Haq Ka Irfan Jo Paaya Tau Ali(A.S) Yaad Aaya
Per Na Kirain Ne Turbat Main Mujhe Behr-e-Hisaab
Aake Jis Waqt Jagaya Tau Ali(A.S) Yaad Aaya
Haq Ka Irfan Jo Paaya Tau Ali(A.S) Yaad Aaya
Main Nuseri Tau Nahi Khair Se WALLAH Mager
Zikr ALLAH Ka (2) Aaya Tau Ali(A.S) Yaad Aaya
Haq Ka Irfan Jo Paaya Tau Ali(A.S) Yaad Aaya
Hum Ali(A.S) Ko Bhi Nahi Jaante Jo Kahte Thay
In Ko Mitti Main (2) Dabaya Tau Ali(A.S) Yaad Aaya
Haq Ka Irfan Jo Paaya Tau Ali(A.S) Yaad Aaya
Takht Kiya Cheez Hai (2) Darbaar Ulat’te Dekha
Khutba Zainab(S.A) Ne (2) Sunaya Tau Ali(A.S) Yaad Aaya
Haq Ka Irfan Jo Paaya Tau Ali(A.S) Yaad Aaya
Sun Ke Awaaz-e-Khuda Chonk Uthe Pegamber(S.W)
Jab Nazar Kuch Nahi (2) Aaya Tau Ali(A.S) Yaad Aaya
Haq Ka Irfan Jo Paaya Tau Ali(A.S) Yaad Aaya
Shehr-e-yazdan to bahaddur ko nahi maante the
(Unko marhab ne) x2 daraaya to Ali yaad aya
Haq Ka Irfan Jo Paaya Tau Ali(A.S) Yaad Aaya
Thi ye niyyat ke karunga me tawaaf-e-kabaa
(Kaaba jab samne) x2 aya to Ali yaad aya