(Haye baba haye merey baba) x2 bain karti theen yeh zehra haye baba haye merey baba
- Sar-e-karbala mera ghar luta merey lal par sitam kya huwa, aseer-e-bala asee-e-jafa hua dasht main mera qafla, dil phata jata hay mera
Haye baba haye merey baba, haye baba
- Sitam par sitam hoey har qadam bulaaen kisey karen KYA haram, hoi aankh nam har ek dil main gham alamdar kay hay bazoo qalam, us ko raas aGAYA darya
Haye baba haye merey baba, haye baba
- Merey tifl sab rahey tashna lab gharibon pay hay jafa be sabab, hua kya ghazab kahan jaaen ab kisey dain sada merey jan balab, khak hoti naheen dunya
Haye baba haye merey baba, haye baba
- Haram ki buka sar-e-karbala ghamon kay sabab bani marsia, na akbar raha na ghazi bacha yahan qatl sab hoey be khata, be zaban so gaya piasa
Haye baba haye merey baba, haye baba
- Khiam-e-hussain main shor-o-shain hua qatl jab mera noor-e-ain, luta dil ka chen suney jab yeh ben hussain ya hussain hussain ya hussain, tukrey hota hay kaleja
Haye baba haye merey baba, haye baba
- Miley zakhm-e-tan raha be kafan mera lal tha ghareeb ul watan, larazta ha ban luta youn chaman koi be rida koi be kafan, ajr ummat ney dia kya
Haye baba haye merey baba, haye baba
- Hua dil hazeen koi bhi naheen haram be rida hay jalti zameen, sitam yeh kaheen bhi dekha naheen khyaam-e-haram jala dain laeen, khak pay betha tha kunba