- Ayna alabbas o ya zainab, ayna qasim ayna hussain, ayna shuhada
(haye wawaila ayna shuhada) x2
- Qatl hoey jab sibtey payamber tan sey houwa jis waqt juda sar, tham kay daman-e-dukhtar-e-haider nauha kiya fizza nay yeh rokar, Ayna alabbas o ya zainab, ayna qasim ayna hussain, ayna shuhada
(haye wawaila ayna shuhada) x2
- Dekho hamari tanhai par tashey bajaney lageh he sitamgar, kis ko bulawu dasht main jaakar koi naheen ghamkhwar yahan par, Ayna alabbas o ya zainab, ayna qasim ayna hussain, ayna shuhada
(haye wawaila ayna shuhada) x2
- Foj-e-sitam main hay tayyari khaimon ki janib aate he naari, kuch to kaho maan tum pay ho wari looten gaya aada ridayna hamari, Ayna alabbas o ya zainab, ayna qasim ayna hussain, ayna shuhada
(haye wawaila ayna shuhada) x2
- Dasht-e-blaaa aur khauf ka aalam koi karey nauha koi matam, kaun bhala de zakhmoon ka marham kisko dikhaayna zakhm-e-jigar ham, Ayna alabbas o ya zainab, ayna qasim ayna hussain, ayna shuhada
(haye wawaila ayna shuhada) x2
- Roney lagee maqtal ki hawaaye aane lagee matam ki sadaaye, aag laeen jis waqt lagaaye us waqt ham sab kisko bulaaye, Ayna alabbas o ya zainab, ayna qasim ayna hussain, ayna shuhada
(haye wawaila ayna shuhada) x2
- Jalney lagey saadaat kay khayme uthneh lagey jab aag kay sholey, choonk uthey wo shiddat-e-tap say tham kay dil sajjad yeh boley, Ayna alabbas o ya zainab, ayna qasim ayna hussain, ayna shuhada
(haye wawaila ayna shuhada) x2
- Jaao koi akbar ko bulaawo koi mere qasim ko sadaa do, koi khabar ammu ko sunaao baba kahan hain kuch to bataawo, Ayna alabbas o ya zainab, ayna qasim ayna hussain, ayna shuhada
(haye wawaila ayna shuhada) x2
- Nauha yeh aasif karti thee fizza doob gayaa qismat ka sitara, maut hoi furqat main gawara shah kay bina ho kaisey guzara, Ayna alabbas o ya zainab, ayna qasim ayna hussain, ayna shuhada
(haye wawaila ayna shuhada) x2
- Charon taraf ek gham ka saman hay darya ki mojon main shor-e-fughan hay, khak basar shabbir ki maan hay us kay labon par gham ki azan hay, Ayna alabbas o ya zainab, ayna qasim ayna hussain, ayna shuhada
(haye wawaila ayna shuhada) x2
- Ayna alabbas o ya zainab, ayna qasim ayna hussain, ayna shuhada