Hazir hai hazeri mei hazaaro(n) ki hal ata
Faryad hai ham par bhi karam kijiye aaqa
Abbas Alamdaar wo saqqaye Sakina
Tareef unki kya karu kya mujhse ho sana
Sadqa unhi ke naam ka milta hai marhaba
Hazir hai hazeri mei hazaaro(n) ki hal ata
Faryad hai ham par bhi karam kijiye aaqa
Pehle to apni ankho(n) se aansu bahawo tum
Roro ke aag aatish-e-gham ki bujhaawo tum
Dil mei unhi ki yaad ko mehmaa(n) banaawo tum
Hazir hai hazeri mei hazaaro(n) ki hal ata
Faryad hai ham par bhi karam kijiye aaqa
Thi hazri Abbas Alamdar ki waha
Jitna bhi dil mei ranj tha wo sara mit gaya
Aakar kisi ne kano(n) mei chupke se ye kaha
Hazir hai hazeri mei hazaaro(n) ki hal ata
Faryad hai ham par bhi karam kijiye aaqa
Allah uski muhskile asaan sab kare
Din raat jo Abbas ke naaro se dam bhare
Kya gham usse duniya ka kisi se wo kyu dare
Hazir hai hazeri mei hazaaro(n) ki hal ata
Faryad hai ham par bhi karam kijiye aaqa
Yaani Ali ke laal pe qurban jaaiyey
Ro kar adab ke saath ye padh sunaayiey
Sarkaar aapka hame Roza dikhaaiyey
Hazir hai hazeri mei hazaaro(n) ki hal ata
Faryad hai ham par bhi karam kijiye aaqa
Qadmo(n) pe sar jhukaawu waha jaake sab ke saath
Mei hazri manawu waha jaake sab ke saath
Sabko yehi sunaawu waha jaake sab ke saath