Aye dilbar-e-zehra audio file

Aye dilbar-e-zehra

Sayyada fatema, sayyada fatema, sayyada fatema,

Aye dilbar-e-zehra shaam-o-sahar, zikr tumhara karte hain (2x)

  1. Aye dilbar-e-zehra shaam-o-sahar, zikr tumhara karte hain
  2. Is tarha se duniya mei rehkar uqba bhi sawaraa karte hain

    Aye dilbar-e-zehra shaam-o-sahar, zikr tumhara karte hain (2x)

  3. Fitrus ki tarha raahib ki tarha, farzand-e-payambar ke sadqay (2x)
  4. Hur ibne riyaahi bhi apni qismat ko sawara karte hain

    Aye dilbar-e-zehra shaam-o-sahar, zikr tumhara karte hain (2x)

  5. Who mubtila ho sakte hi nahi, duniya ki pareshaani mei kabhi (2x)
  6. Jo aal-e-muhammad ka sadqa, din raat utara karte hain

    Aye dilbar-e-zehra shaam-o-sahar, zikr tumhara karte hain (2x)

  7. Shabbir ki rif’at ko dekho, tazleel-e-yazeedi ko samjho (2x)
  8. Yu(n) haar ke jeeta jaata hay, yu(n) jeet kay haara karte hain

    Aye dilbar-e-zehra shaam-o-sahar, zikr tumhara karte hain (2x)

  9. Ho aalam-e-ghurbat ki thokar, ya tashna dahaani aur khanjar (2x)
  10. Islam pe mar mitne waale, har runj gawara karte hain

    Aye dilbar-e-zehra shaam-o-sahar, zikr tumhara karte hain (2x)

  11. Hasnain-o-ali ki ulfat mei, duniya se gaye jo log wahi (2x)

Kausar kay kinaare bethe hain, jannat ka nazaara karte hain

Aye dilbar-e-zehra shaam-o-sahar, zikr tumhara karte hain (2x)