Hamara hussain hay
Jis ko rasool kehde(n), hamara hussain hay
Duniya o dee(n) mei sub ka sahara hussain hay
Zahra hai(n) chaand aur sitaraa hussain hay
Deen-e-khuda ka aisa shumaraa hussain hay
Har qaum keh rahi hay, hamara hussain hay
Kushti bhanwar mei ho to kinaraa hussain hay
hur kay naseeb ka to sitaraa hussain hay
Jis ko nabi parhein wo sipara hussain hay
Teri talab jaha(n) ko dubaraa hussain hay
Tukro(n) pe tere sub ka guzara hussain hay