Hussaini bazm hay
Hussaini bazm hay yaa(n) baa adab hokar qadam rakhna (2x)
Yahaa(n) par sar ko khum rakhna, yahaa(n) aankho(n) ko num rakhna
Magar dil mei sajaa kay mashq kay chidnay ka gham rakhna
Yateemo(n) kay saro(n) par tum sadaa dast-e-karam rakhna
Sajaa kar hazrat-e-abbas ka ghar par alam rakhna
Wazeefa panjatan kay naam ka bus dum ba dum rakhna
Sar-e-rehaan par ghazi zara daste karam rakhna