Kaamtar kay audio file

Kaamtar kay

Kamtar kay muqaabil mei aakar (2x) maydaan mei behtar jeet gaya

Jub jub bhi laraa hay baatil say (2x) islam ka lashkar jeet gaya

  1. Maydaan mei khum kay ahmed nay, haider ko banaya jub maula (2x)
  2. Ashaab-e-payambar kehne lage (2x) daamaad-e-payambar jeet gaya

  3. Maula ki muhabbat mei meesum, jub daar ki had tak aa pohnchay (2x)
  4. Katwaadi zabaa(n) to shor huwa (2x) haider ka sukhanwar jeet gaya

  5. Maula ki sakhaawat say darr kar, chori hay mihaar-e-naaqa jub (2x)
  6. Salman yeh hans ke kehne lage (2x) hoshyaar tha qambar jeet gaya

  7. Fitrus ko mila hay par jis dum, yeh saare farishtay kehte the (2x)
  8. Barso(n) say muqaddar ka maara (2x) shabbir kay dar par jeet gaya

  9. Jo shaam ke lashkar ka hota, anjaam wohi tera hota (2x)
  10. Shabbir ke dar par aane se (2x) hur tera muqaddar jeet gaya

  11. Ansaar-e-hussaini thoray the, bay’at ke sawali laakho(n) the (2x)
  12. Bay’at ke taqaazo(n) ke aage, inkaar-e-bahattar jeet gaya

  13. Larne ke liye run mei koi, hathyaar nahi tha haatho(n) mei (2x)
  14. Bus rob-e-nazar se maydaa(n) mei (2x) abbas-e-dilawar jeet gaya

  15. Afwaaj-e-situmgar roti hay, zaahir yeh nishaani haar ki hay (2x)
  16. Honto(n) pe tabassum kehta hay (2x) shabbir ka asgher jeet gaya

  17. Qura(n) ki tilawat neze par, shabbir ne kar ke batlaaya (2x)
  18. Sar kaat ke zaalim haar gaya (2x) mei sar ko kata kar jeet gaya

  19. Jub shah ki majlis zainab ne, zaalim ke makaa(n) mei barpa ki (2x)
  20. Yeh shaam mei charcha hone laga (2x) zainab ka biraadar jeet gaya

  21. Jub roza-e-sarwar pe jaakar, peshaani jhukaayi hay mei ne (2x)

Yeh saare farishte kehne lage (2x) jafar ka muqaddar jeet gaya