Nabi Nabi
Yaa mustafa, yaa mustafa, yaa mustafa yaa mustafa
Nabi nabi nabi nabi, nabi nabi nabi nabi (2x)
Nabi nabi nabi nabi, nabi nabi nabi nabi (2x)
Nabi nabi nabi nabi, nabi nabi nabi nabi (2x)
Jahaano(n) mei bhi noor hay, bahaaro(n) mei bhi noor hay
Kahee(n) nahi hay teergi, har ek taraf hay roshni,
Yeh dayn hay sub aapki
Nabi nabi nabi nabi, nabi nabi nabi nabi (2x)
Nagar nagar gali, hay noor say saji huwi
Jala chiragh-e-hashmi, mitee jahaa(n) say teergi,
Pukarti hay roshni
Nabi nabi nabi nabi, nabi nabi nabi nabi (2x)
Yeh aayi konsi ghari, girai(n) hay aaj but kayi
Suni thi hum nay jo kabhi, alaamate(n) hain sub wohi
Kahi subhi nay ankahi
Nabi nabi nabi nabi, nabi nabi nabi nabi (2x)
Har ek kay jismo jaan tak, zabaan aur bayaan tak
Gyaniyo(n) kay gyaan tak, khuda kay har jahaan tak
Hay apki hi rehbari
Nabi nabi nabi nabi, nabi nabi nabi nabi (2x)
Ghazab kay khush khisal hain, kamaal hi kamaal hain
Yeh kufr ka zawaal hay, yeh khayr-e-bemisaal hay
Yehi hain saahib-e-wahi
Nabi nabi nabi nabi, nabi nabi nabi nabi (2x)
Inhi kay sab aseer hain, yeh paancho(n) benazir hain
Bashir hain nazir hain, hamare dastageer hain,
Yeh mash’alain hain noor ki
Nabi nabi nabi nabi, nabi nabi nabi nabi (2x)
Huwi jo deen ko talab, laga hay inka maal sub
Nabi ki aal ka sabub, salaam inpe rozo shub
Yeh maa hain momineen ki
Nabi nabi nabi nabi, nabi nabi nabi nabi (2x)
Yeh zikr itna aam ho, isi pe ikhtitaam ho
Kahu(n) nabi nabi nabi, likhu(n) nabi nabi nabi
Sunu(n) nabi nabi nabi
Nabi nabi nabi nabi, nabi nabi nabi nabi (2x)
Masee’h ki sada ho tum, habib-e-kibriya ho tum
Ajeeb dilruba ho tum, khuda hi jaane kya ho tum
Samajh saka na aadmi
Nabi nabi nabi nabi, nabi nabi nabi nabi (2x)
Who dash ho ke gulsita(n), bahaar ho ke ya khizaa(n),
Jawab inka hay kahaa(n), yeh hain sabhi pe mehrbaa(n)
Khuda ke baad hain yahi
Nabi nabi nabi nabi, nabi nabi nabi nabi (2x)
Hassan hussain phool hain, yeh saahib-e-rasool hain
Hain aik jaa(n) ali nabi, hay kufr inki humsari,
Razaa-e-rub hain yeh sabhi
Nabi nabi nabi nabi, nabi nabi nabi nabi (2x)
Kitaab-o-ahlebayt ki, bhatak na paaoge kabhi
Nabi ko bus yeh fikr thi, bane na koi dozakhi
Bachaayi gham se zindagi
Nabi nabi nabi nabi, nabi nabi nabi nabi (2x)
Ho kuch magar namaaz parh, mitay ga sharr namaaz parh
Namaaz awwaleen hay, yeh ek sutton-e-deen hay
Yeh khud huzoor nay parhi
Nabi nabi nabi nabi, nabi nabi nabi nabi (2x)
Jo yeh kahe(n) wohi karo, jidhar kahe(n) udhar chalo
Khuda ka yeh kalaam hay, usi ka yeh payaam hay,
Yahi hain aakhri nabi
Nabi nabi nabi nabi, nabi nabi nabi nabi (2x)
Hay fikr mujh ko bus yahi, ho khatm jub yeh zindagi
Jub aaye maut ki ghari, jo aye saans aakhri
Zabaan par ho bus meri
Nabi nabi nabi nabi, nabi nabi nabi nabi (2x)
Yaa mustafa, yaa mustafa, yaa mustafa yaa mustafa