Hunar detay hai Abbas audio file
Hunar detay hai Abbas
(Jis tarha se jine ka, hunar dete hai Abbas) x2
- Rag rag me wafadariya bhar dete hai Abbas
Jis tarha se jine ka, hunar dete hai Abbas
- (Ye aise sakhi aise, sakhi aise sakhi hai) x2 Kuch mange binaa joliyaa bhar detay hai Abbas
- (Jo sher-e-wafa ke liye, jate hai safar ko) x2 Un logo ko samaan-e-safar detay hai Abbas
- Rozey ki ziyarat se, ye ehsas huwa hai. Binayi tawana se, bhar detay hai Abbas
- (Jo kufr-e-ke lashkar se, bhara hota hai aksar) x2 Maydan wahi lasho se, bhar detay hai Abbas
- (Jo shaks yaha rota hai Shabbir ke gham me) x2 Khush ho ke use khuld me ghar detay hai Abbas
- Jab koyi bayaan karta hai Shabbir ki midhat. Lehje me qayamaat ka asar detay hai Abbas
- Shabbir ka dushman ho, mukaabil to dubaa to. Lafzo ke tabarrayi kabr detay hai Abbas
- Sadqe me sakina ke, kabhi mang ke dekho. Kuza bhi nahi joli bhi bhar detay hai Abbas
- Masoom sakina ko, jo paani na pilaata. Wo haath judaa jism se kardetay hai Abbas
- Ghazi ka qasida kiya, tehreer ko jo jaana. Lafzo ke wazlaalo gohar detay hai Abbas
(Jis tarha se jine ka, hunar detay hai Abbas) x2