- Kaisay qadam ba(r)haoo(n), kaisay mai(n) sir chuppaoo(n)
Sir pay nahi(n) rida
(Amma Fizza, bazar aagaya, Zainab nay di sada) x2
- Amma watan say ub tak kitnay alam utthayay
sajjad or mai(n) nay ummat kay gham utthayay
durray laga rahay hai(n) kaa(n)tay bichha rahay hai(n)
bejurm-o-bekhata
(Amma Fizza, bazar aagaya, Zainab nay di sada) x2
- Amma yeh ehl-e-koofa kiyon maartay hai(n) patthar
Hum aal-e-Mustafa hai(n), or phir rhay hai(n) dar dar
zulm-o-sitam kay baani, detay nahi(n) hai(n) paani
hay gham ki intiha
(Amma Fizza, bazar aagaya, Zainab nay di sada) x2
- Amma hamaray ghar say kitnay utthay janaazay
jo karbala nay dhaayay wo zakhm bhi hai(n) taazay
Aa Aa kay ehl-e-koofa, you(n) dey rahay hai(n) pursa
Aabid bhi ro diya
(Amma Fizza, bazar aagaya, Zainab nay di sada) x2
- Amma hamaray waaris maqtal main so rahay hai(n)
Or hum sitam kay maaray koofay main rorahay hai(n)
majbooriyo(n) nay ghaira, hay chaar soo andhaira
karti hoo(n) mai(n) buka
(Amma Fizza, bazar aagaya, Zainab nay di sada) x2
- Amma yeh shaam waalay galiyaa(n) saja rahay hai(n),
ham ghamzada hai(n) or yeh khushiyaa(n) mana rahay hai(n)
kiss ko yeh gham suna-ai(n), hum kiss kay paas ja-ai(n)
koi nahi(n) bacha
(Amma Fizza, bazar aagaya, Zainab nay di sada) x2
- Amma hamaray baazoo baandhay gayay rasan mai(n)
zakhmo(n) ki karbala hay sajjad kay badan mai(n)
aankho(n) say khoo(n) rawa(n) hay, or shukr ki azaa(n) hay
or labb pay hay dua
(Amma Fizza, bazar aagaya, Zainab nay di sada) x2
- Amma najaanay kab tak yeh zulm hum shai(n) gay
Amma najaanay kabtak hum qaid main rahai(n) gay
Bechain hay Sakina mushkil hay iss ka jeena
bujhnay ko hay diya.
(Amma Fizza, bazar aagaya, Zainab nay di sada) x2
- Sajjad-e-naatawaa(n) ko maaray hai(n) taziyaanay
Or kitnay gham sahay ga, yeh mera rab hi jaanay,
Hay girta la(r)kha(r)ata aa(n)kho(n) say khoo(n) bahaata
Salaar-e-Qaafla.
(Amma Fizza, bazar aagaya, Zainab nay di sada) x2
- Barsaat pattharo(n) ki her simt say hay jaari,
Kiyo(n) aaj ho rahi hay dushman khuddai saari
Aahai(n) hai(n) siskiyaa(n) hai(n), sir say lahoo rawaa(n) hay
Ummat ki hay jaffa
(Amma Fizza, bazar aagaya, Zainab nay di sada) x2
- Fizza ko aay zafar yeh Zainab bata rahee thee(n)
Sab haal-e-dil suna kar aansoo baha rahi thee(n)
Mushkil hay ub rihai, khaati hay beyridaai
aayay gi ub qazza