Hogayi Zahra audio file
Hogayi Zahra
(Haaye Zahra, Haaye Zahra) x2
(Lo musalmaano khaamosh ho gaiee(n) Zahra) x4
- (Zakhm pehloo main liyay) x2 aaj so gaiee(n) Zahra
(Lo musalmaano khaamosh ho gaiee(n) Zahra) x2
- Jiss kay ronay ki sadaaoo(n) say tarap jaatay thay
Sunn kay faryaad Ali Paak chalaay aatay thay
(maut kay gehray andhairo(n) mei(n)) x2 kho gaiee(n) Zahra
(Lo musalmaano khaamosh ho gaiee(n) Zahra) x2
- Log yasrab kay baray chain say ub so-ai(n) gay
Meri makhdooma kay maasoom sabhi ro-ai(n) gay
(iss qadar baba kay sadmo(n) main) x2 ro gaiee(n) Zahra
(Lo musalmaano khaamosh ho gaiee(n) Zahra) x2
- Ab to aaho(n) ki na aawaaz-e-buka aayay gi
Zakhm pehlu ka payamber ko wo dikhlayay gi
(Ashk aankho(n) main liyay) x2 lo gaiee(n) Zahra
(Lo musalmaano khaamosh ho gaiee(n) Zahra) x2
- Sar-e-darbaar gawaaho(n) ko bhi jhuttlaya hay
Baad baba kay musalmaano nay (T)arpaya hay
(Ghamzada bar sar-e-darbaar) x2 ho gaiee(n) Zahra
(Lo musalmaano khaamosh ho gaiee(n) Zahra) x2
- Chupp na payay ga zamaanay say kabhi ta-mehshar
Bharay darbaar-e-sitamgaar main khutba day kar
(Daagh Hizyaan ki tohmat ka) x2 dho gaiee(n) Zahra
(Lo musalmaano khaamosh ho gaiee(n) Zahra) x2