Khayaal-e-Fatemah audio file
Khayaal-e-Fatemah
(Khayaal-e-Fatemah dee(n) ki hay Aabroo Zainab) x2
(Ali Imam ki sajdo(n) main aarzoo Zainab) x2
(Khayaal-e-Fatemah dee(n) ki hay Aabroo Zainab) x2
- Hay "Zay" say zeenat-e-ajdaad "ye" say Yakta hay
To "Noon" say yeh Naboowat ki Mohsina Ttheri
Jo "Bay" kay raaz ko kholoo(n) to "Bay" Ali Mola
Thi baab-e-ilm ki beti muallima ttheri
Misaal-e-Fatemah Zehra hay hoobahoo Zainab
Khayaal-e-Fatemah dee(n) ki hay Aabroo Zainab
- Mujhay Hussain ki bemisl sajdahgah ki Qasam
Kahee(n) na hotee(n) namaz-o-quraan ki baatai(n)
Manaat-o-laat ki pooja bahaal ho jaati
Na koi karta dehr main eemaan ki baatain
Sunaanay khutbay jo jaati na koobakoo Zainab
Khayaal-e-Fatemah dee(n) ki hay Aabroo Zainab
- Janab-e-Akbar-e-zeJaah ki parwarish karkay
Muqaam-e-Aamina Khaaliq say paa gai bibi
Janaab-e-Aabid-e-beemaar ki baqa kay liyay
Dayaar-e-shaam main sir nangay aagai bibi
Ali ki tarah thi baatil kay roobaroo Zainab
Khayaal-e-Fatemah dee(n) ki hay Aabroo Zainab
- Ajeeb aalam-e-ghurbat tha shaam mai(n) logo
Rasan main qaidi thee baalo(n) say moo(n) chupayay huay
chahaar simt say honay lagi thi sangbaari
hui jo daakhil-e-bazaar sir jhukayay huay
Bachaati deen ko hogai lahoo lahoo Zainab
Khayaal-e-Fatemah dee(n) ki hay Aabroo Zainab
- Janaab-e-syed-e-Sajjad aik din logo
chalay to gir pa(r)ay qadam uttha na sakay
Yu(n) Shimr ko(r)ay ko lehraata aagaya yakdum
Haram zaeef ko maloon say bacha na sakay
Ajeeb yaas say takti thi chaar soo Zainab
Khayaal-e-Fatemah dee(n) ki hay Aabroo Zainab
- Hujoom-aam say guzri to aik aurat nay
Ali ki beti ko pathar uttha kay maara tha
Baha jo khoon to chehray pay ik naqaab bana
yeh pardadaar ki fatha ka ik ishaara tha
Chalee thi jaanib-e-darbaar surkhuroo Zainab
Khayaal-e-Fatemah dee(n) ki hay Aabroo Zainab
- Kabhi Sakeena ko deti rahi dilaasay wo
Kabhi Rubab ka ghurbat mai(n) gham ba(n)tati thi
Kabhi Sajjad kay ashko(n) ko saaf karti thee
Kabhi wo Farwa ko apnay galay lagaati thi
Ba(R)i Katthin thi jo karti thi justujoo Zainab
Khayaal-e-Fatemah dee(n) ki hay Aabroo Zainab
- Dayaar-e-ghair mai(n) Tauqeer pardaydaari ko
Ali ki beti nay kuch iss tarah sajaya tha
Banaya baalon(n) say parda to sir pay khaak-e-shifa
Zubaa(n) pay lehja-e-Shair-e-khudda sajjkaya tha
Ali kay lehjay mai(n) karti thi guftagoo Zainab
Khayaal-e-Fatemah dee(n) ki hay Aabroo Zainab