- (Gham-e-Shabbir ki Qandeel) x2 Jalayay rakhna
(Meray Abbas kay parcham ko utthayay rakhna) x2
- (Bint-e-Zahra ko na hai ronay dia logo(n) nay) x2
Gham kay daryaoo(n) ko aankho(n) say bahayay rakhna
(Meray Abbas kay parcham ko utthayay rakhna) x2
- (Sir khulay aati hay Abbas-e-dilawar ki behan) x2
Shamiyo(n) apni nigaho(n) ko jhukayay rakhna
(Meray Abbas kay parcham ko utthayay rakhna) x2
- (Sunat-e-syed-e-Sajjad mai(n) matam daaro) x2
Apni Aankhon ko azakhaana banayay rakhna
(Meray Abbas kay parcham ko utthayay rakhna) x2
- (Haath kat-tay hain to kat jayai(n) wafaoon ki qasam) x2
khud ko Ghazi ka wafadaar banayay rakhna
(Meray Abbas kay parcham ko utthayay rakhna) x2
- (Keh kay zinda(n) kay andhairo(n) say chalee(n) Um-e-Rubaab) x2
Ik diya qabr-e-Sakina pay jalayay rakhna
(Meray Abbas kay parcham ko utthayay rakhna) x2
- (zaanooay shah pay Abbas nay dam Tor(r) diya) x2
Shimr say Baali Sakina ko bachayay rakhna
(Meray Abbas kay parcham ko utthayay rakhna) x2
- (Alqama Aajbhi kehti hay azaadaro(n) say) x2
Tishnagi piyaaso(n) ki ashko(n) say bujhayay rakhna
(Meray Abbas kay parcham ko utthayay rakhna) x2
- (Ub bhi Aati hay sada karb-o-Bala say yeh "Zafar") x2
Matam-e-Sheh kay charagho(n) ko jalayay rakhna