Shaam haaye shaam audio file
Shaam haaye shaam
(Ash-Shaam Ash-Shaam) x3
Jab poochta tha, Aabid(a.s) say koi
Beemar zara, Ehwaal suna
Kaha(n) sab say ziyaada dukh daikhay,
Sajjad(a.s) yeh ro kar farmaatay
(Shaam haaye shaam, Shaam haaye shaam) x2
- Aay Shah kay pisar,aay khasta jigar
Baqar(a.s) kay Pidar, yeh baat bata
kaha(n) dafan Sakeena(a.s) ki tum nay
ghayyoor yeh rokar farmaatay
(Shaam haaye shaam, Shaam haaye shaam) x2
- Mazloom-e-jafa, lab khol zara
Iss uljhan ki, ub khol girha
kaha(n) chacha ghaazi(a.s) yaad aayay
sarkaar yeh ro kar farmaatay
(Shaam haaye shaam, Shaam haaye shaam) x2
- Sultaan-e-aman, aay shah-e- zaman,
aay khasta sukhan, kuch bol zara
kaha(n) patthro(n) ki barsaat hui
mazloom yeh rokar farmaatay
(Shaam haaye shaam, Shaam haaye shaam) x2
- Farzand-e-Ali(a.s) , aay noor-e nabi
sakhiyon kay sakhi, kuch to farma
kaha(n) chaadar maangi Zainab(a.s) nay
salaar yeh ro kar farmaatay
(Shaam haaye shaam, Shaam haaye shaam) x2