- (Zainab ka chain Aabid) x2 or jaan thi Sakina
(Shabbir kay sakoo(n) ka saamaan thi Sakina) x2
- Nannhi si umr main bhi Khairun-Nisa si aadat
Aal-e-Nabi nay ki hay jiss ki sada tillawat
(Masoomiat ka aisa) x2 quraan thi Sakina
(Shabbir kay sakoo(n) ka saamaan thi Sakina) x2
- Aabid kay aablo(n) say kantay nikaalti thi
Toq-e-garam pay paani wirsay ka daalti thi
Bhai pay bekassi main qurbaan thi Sakina
(Shabbir kay sakoo(n) ka saamaan thi Sakina) x2
- Zahra mizaaj bachi darbaar-e-shaam jaakar
saabit yeh kar gai hay shabbir ko bula kar
Tauheed ki zubaan-e-zeeshan thi Sakina
(Shabbir kay sakoo(n) ka saamaan thi Sakina) x2
- Yeh baat aqal waalay tehreer main hain layay
kiyon na uttarti bibi zinda(n) main sir utthayay
mazloom ki fatha ka ealaan thi Sakina
(Shabbir kay sakoo(n) ka saamaan thi Sakina) x2
- Takleef per na lai lab per sawaal-e-marham
Piyaasi thi per rahi hay Zain-ul- Ibba ki hamdam
Pardes main waqar-e-imran thee Sakina
(Shabbir kay sakoo(n) ka saamaan thi Sakina) x2
- Ik roz qaidkhaanay zain-ul-ibba jo aayay
aankhon say khoon kay aansoo yeh dekh kar bahayay
Zindan ki zamee(n) per bejaan thi Sakina
(Shabbir kay sakoo(n) ka saamaan thi Sakina) x2
- Deen-e-Khuda ki iss nay Tauqeer you(n) Barrhai
Qaatil kay roobaroo woh ban kar Batool aai
Islaam per khuda ka ehsaan thi Sakina