Shah ast Hussain audio file
Shah ast Hussain
Shah ast Hussain, Badshah ast Hussain
Dee(n) hast Hussain Dee(n) panahast Hussain
sir dad na dad dast dar dast-e-Yazeed
Haqa kay bina-ay Lailaha ast Hussain
(Ya Hussain, Ya hussain, Ya hussain) x4
- Aashoor ka sooraj, ub doob raha hay
Ahmad ka nawaasa, tanha hi khara hay
Yehi Zehra ka hay Noha, aay dukhiya maa(n) kay chain.
(Ya Hussain, Ya hussain, Ya hussain) x4
- Islaam ki tu nay, Tauqeer bachai
Mamnoon hay teri, yeh saari khudai
Hay jo baaqi Laillah bhi, Yeh sab hay teri dain
(Ya Hussain, Ya hussain, Ya hussain) x4
- Teri azmat ko, samjhay nahin shaami
Tujh ko yeh zamana, deta hay salaami
Tu jarri hay tu sakkhi hay Zehra kay noor-e-ain
(Ya Hussain, Ya hussain, Ya hussain) x4
- Afsos woh jiss nay her zulm saha hay
Darbaar main jiss ka haq cheena gaya hay
Teri ghurbat pay wo dukhia, karti rahi yeh bain
(Ya Hussain, Ya hussain, Ya hussain) x4
- Ghurbat main bhi tum nay hay deen bachaya
Tumnay sar-e-naiza quraan sunaya
Yeh ba(r)aai yeh bulandi, hay tujh pey zaib-o zain
(Ya Hussain, Ya hussain, Ya hussain) x4
- Her aik "muhib" kay lab pay yeh sada hay
yeh nohay yeh girya Zahra ki Dua hay
Saddiyon say jaari hay, tera maatam aay Hussain
(Ya Hussain, Ya hussain, Ya hussain) x4
Shah ast Hussain, Badshah ast Hussain
Dee(n) hast Hussain Dee(n) panahast Hussain
sir dad na dad dast dar dast-e-Yazeed
Haqa kay bina-ay Lailaha ast Hussain