Darmiyaan lasho ke audio file
Darmiyaan lasho ke
Darmiyaan laashon ke maqtal mei khari hai zainab
Is andhere mei kise, dhund rahi hai zainab
Darmiyaan laashon ke maqtal mei khari hai zainab
- (Sabki nazre hai chamakte huwe khanjar ki taraf) x2 bhai ka khushq gala dekh rahi hai zainab
Darmiyaan laashon ke maqtal mei khari hai zainab
- (Sheh pe chalte huwe khanjar ko bhala kya maalum) x2 kis tarha khaak pe gash khaake giri hai zainab

- (Haath uthaa kar kare kis tarha se laashon ko salaam) x2 haath rassi mei hai shaano se bandhi hai zainab
Darmiyaan laashon ke maqtal mei khari hai zainab
- (Sheh pe chalte huwe khanjar ko bhala kya maalum) x2 kis tarha khaak pe gash khaake giri hai zainab
Darmiyaan laashon ke maqtal mei khari hai zainab
- Is andhere mei kise, dhund rahi hai zainab