Hussain pyaase ka zainab audio file
Hussain pyaase ka zainab
(Hussein pyaase ka zainab, salaam laayi hai) x2
(Hussein pyaase ka zainab, salaam laayi hai) x2
Giri lahad pe, basad naalaa-o-fughaan zainab
Lipat ke kabr se karne lagi bayaan zainab
(lutaake aayi hai jangal mei kaarwaan zainab) x2
(Utho mazaar se nana) x2 mere duhaai hai
(Hussein pyaase ka zainab, salaam laayi hai) x2
Akela tha mera, bhaai hazaar baani-e-shar
Har eik simt se barsaa rahe the teer-o-tabar
(saware doshe payamber tha apne khun mei tar) x2
(bayaan kya kare zainab) x2 jo dekh aayi hai
(Hussein pyaase ka zainab, salaam laayi hai) x2
Pas-e-hussein, hame zaalimon ne yun luta
Jalaaya aag se khaima saron se chini ridaa
(rasan mei hamko laino ne is tarha baandha) x2
(Ye dekho aaj bhi zakhmi) x2 meri kalaayi hai
(Hussein pyaase ka zainab, salaam laayi hai) x2
Zamin hilne lagi, kaampne lagaa gharduu
Tabarrukaat ko shaada kiye bahaale zabun
(nikaal kar kaha sheh ka amama-e-purkhun) x2
(Safar se nana ye tohfa) x2 nawaasi laayi hai
(Hussein pyaase ka zainab, salaam laayi hai) x2
Bataao ai phuphi amma kahaan hai mere pidar
Dikhaado hai kahaan bhayya mera aliasghar
(kahaa phuphi ne ke ai beti lut gaya sab ghar) x2
(Tamaam kunbe ko jangal) x2 mei khoke aayi hai
(Hussein pyaase ka zainab, salaam laayi hai) x2