Maqtal se de rahe hai audio file
Maqtal se de rahe hai
Maqtal se de rahe hai, sada shaahe mashraqain, Baandho kafan saro se, (utho kehke ya hussein) x2

- Quraan ki azmaton ka tamasha bana hai phir, hubb-e-huseiniat ki muhayyan saza hai phir, utho ke fitna tar hai qamar basta chaarsu, (maqtal huseiniyon ke) x2 lahu se sajaa hai phir
Maqtal se de rahe hai, sada shaahe mashraqain, Baandho kafan saro se, (utho kehke ya hussein) x2
- Makbuza ghar khuda ka ke maqbuza karbala, behurmati ki zad mei hai rozaa-e-Murtaza, khabida ehle karbala bedaar hai yazid, (is deene ukhravi kaa) x2 jo hafiz hai ab khuda
Maqtal se de rahe hai, sada shaahe mashraqain, Baandho kafan saro se, (utho kehke ya hussein) x2
- Aaghaaz karbala hai, ke himmat se kaam lo, quraan ke saath daaman-e-shabbir thaam lo, dilme ho khouf koi to itni si arz hai, (peshe yazid zainabe) x2 kubraa ka naam lo
Maqtal se de rahe hai, sada shaahe mashraqain, Baandho kafan saro se, (utho kehke ya hussein) x2
- Paighaam-e-asl-e-karbala, pohnchaana chahiye, kirdaar binte fatema apnaana chahiye, jo raah-e-zainabi pe naho paaega mazan, (wallaah unko sharm se) x2 marjaana chahiye
Maqtal se de rahe hai, sada shaahe mashraqain, Baandho kafan saro se, (utho kehke ya hussein) x2
- Shabbir hai jo laashe uthaate hai dhuup mei, choti lahad ye kiski banaate hai dhuup mei, wehshat zada hai mout ke khaamosh hai fizaa, (asghar ko shaah-e-waala) x2 sulaate hai dhuup mei
Maqtal se de rahe hai, sada shaahe mashraqain, Baandho kafan saro se, (utho kehke ya hussein) x2
- Akber ko ran mei dekha tarapta hussein ne, haq par nisaar kardiya beta hussein nei, us waqt ek andhera sa ankhon mei chaa gaya, (uljaa jigar se neza jo) x2 dekha hussein nei
Maqtal se de rahe hai, sada shaahe mashraqain, Baandho kafan saro se, (utho kehke ya hussein) x2
- Jisne qazaa ko haske gale se lagaa liya, deene khuda ko apne lahu se bacha liya, beshir-o-bezubaan pe hazaaro salaam ho, (jisko shaki ne noke) x2 sinaa par uthaa liya
Maqtal se de rahe hai, sada shaahe mashraqain, Baandho kafan saro se, (utho kehke ya hussein) x2
- Maatam ba majlison se ho waabasta zindagi, khouf-e-khuda ho dilme rahe paas bandagi, "Rizwi" agar raha naa tawazun ye darmiya(n), (kehlaaengi azaae) x2 shahe waala dillagi