Alwida ay bahan
(Alwida Alwida) x4
Asre Aashur Zainab se sheh ne kahaa
Ai bahan Alwida Alwida Alwida
Hai guzar ne ko ab din ye aashur ka
(Ai bahan Alwida Alwida Alwida) x2
(Alwida Alwida) x2
Mere ansaar rab par fidaa hogaye,
bhai bete bhatije sabhi chalbase,
ab mei hota hun hamshir tumse judaa
Asre Aashur Zainab se sheh ne kahaa
(Ai bahan Alwida Alwida Alwida) x2
(Alwida Alwida) x2
mujpe dhaaenge zulmo sitam ye laain,
mera ghamkhwaar maqtal mei koi nahi,
subh se shaam tak mera ghar lut gaya
Asre Aashur Zainab se sheh ne kahaa
(Ai bahan Alwida Alwida Alwida) x2
(Alwida Alwida) x2
dashte ghurbat mei ye khastatan lut gaya,
ye musaafir gharibul watan lut gaya,
waqt kaisa ye shabbir par aagaya
Asre Aashur Zainab se sheh ne kahaa
(Ai bahan Alwida Alwida Alwida) x2
(Alwida Alwida) x2
khali kuuza liye hai sakina khari,
mei akela hu ab hai ye kaisi ghari,
mera abbas darya se aa naa saka
Asre Aashur Zainab se sheh ne kahaa
(Ai bahan Alwida Alwida Alwida) x2
(Alwida Alwida) x2
bar sare aam khutbah sunana behen,
deene Islam ko tum bachaana behen,
bas yehi hai behen maqsade karbala
Asre Aashur Zainab se sheh ne kahaa
(Ai bahan Alwida Alwida Alwida) x2
(Alwida Alwida) x2
karbala royegi aasmaan royega,
shame gham aaegi saarbaan roega,
luut ne ko hame aaenge ashkiyaa
Asre Aashur Zainab se sheh ne kahaa
(Ai bahan Alwida Alwida Alwida) x2
(Alwida Alwida) x2
ai "muhib" us ghari hashr barpaa huwa,
aakhri baar bhai ne jab ye kahaa,
tum ko maine khuda ke hawaale kiya
Asre Aashur Zainab se sheh ne kahaa
(Ai bahan Alwida Alwida Alwida) x2
(Alwida Alwida) x2