Ana Zainab
Sare Darbaar jab ehle haram aae rasan basta
Yazeed har eik qaidi se yehi has has ke kehta tha
Meri taakat mei dekho aaj, Haq barpaa liya ghalbaaz
Muhammad ka zamaane se, Nishaan maine mitaa daala
Suna jab ye to Ahmad ki nawaasi ko jalaal aaya
Ghamon shaibat thi aur lafz-e-dil-e-zehra ne lalkaara
Zabaan ko de lagaam apni wagarnaa hoga do para
Rasan basta sahih meri ragon mei khun hai haider kaa
(Anaa Zainab) x3 Mei Zainab hun
Hussein ibne Ali faateh hai dunya ko bataaungi
Yazidi kufr ke chehre se mei parda hataaungi
(Anaa Zainab, Mei Zainab hun) x2
ta’arruf isliye darbar mei apna karaati hun,
(jise qaidi banaaya tune dunya ko batati hun) x2
tera maqrur chehra mei zamaane ko dikhaaungi
Anaa Zainab, Mei Zainab hun
Hussein ibne Ali faateh hai dunya ko bataaungi
Yazidi kufr ke chehre se mei parda hataaungi
Anaa Zainab, Mei Zainab hun
Mitega tu zamaane se aur aisi mout paega
(ye terra naam le wabhi zamane mei na aaega) x2
qayamat tak tujhe ruswaa zamane mei banaungi
Anaa Zainab, Mei Zainab hun
Hussein ibne Ali faateh hai dunya ko bataaungi
Yazidi kufr ke chehre se mei parda hataaungi
Anaa Zainab, Mei Zainab hun
sikhaaya jisne parda usko beparda pirata hai
(muhammad ka ali ka fatema ka dil dukhata hai) x2
tere saare mazaalim saamne dunya ke laaungi
Anaa Zainab, Mei Zainab hun
Hussein ibne Ali faateh hai dunya ko bataaungi
Yazidi kufr ke chehre se mei parda hataaungi
Anaa Zainab, Mei Zainab hun
na hargiz ye samajna ham teri taakat se darte hai
(tere darbar mei haq ki sadaa ban kar ubharte hai) x2
sadaa-e-haq se tere zulm ke aiwaan dhaaungi
Anaa Zainab, Mei Zainab hun
Hussein ibne Ali faateh hai dunya ko bataaungi
Yazidi kufr ke chehre se mei parda hataaungi
Anaa Zainab, Mei Zainab hun
zamaane mei rehaga tuu na takhto taaj ye tera
(magar taa hashr dunya mei hussein ibne ali hoga) x2
dilon mei yaad apne bhai ki mei yun basaungi
Anaa Zainab, Mei Zainab hun
Hussein ibne Ali faateh hai dunya ko bataaungi
Yazidi kufr ke chehre se mei parda hataaungi
Anaa Zainab, Mei Zainab hun