Kullu yawmin Ashura audio file
Kullu yawmin Ashura
Kullu yawmin Ashura, kullu ardhin Karbala
Karbobala ko sadyaan guzri, aaj hai phir qul dor naya
Laikin ay is dour ke insaan, jag zara aur soch zara
Tarz-e-bala kya khatm huwi aashura bhi kya khatm huwa
Arzo samaa mei gunj rahi hai aaj bhi ye bas ek sadaa
(Kullu yawmin Ashura) x2 kullu ardhin Karbala

Dunya bhi masnad pe hai jaawir, (ehle bapaa bezaar to hai) x2
Aaj yazeed-o-shimr nahi hai unke kuch kirdaar to hai
Koi shahadat saamne aaye koun kare sar tez-e-jafa
Arzo samaa mei gunj rahi hai aaj bhi ye bas ek sadaa
Kullu yawmin Ashura kullu ardhin Karbala
Dil bhi toofan zehn bhi toofan (aaj hai nafrat aam wohi) x2
Aashure ka din bhi wohi hai aashure ki Shaam wohi
Fikre huseini tanha tanha tanha hai khud dasht-e-balaa
Arzo samaa mei gunj rahi hai aaj bhi ye bas ek sadaa
Kullu yawmin Ashura kullu ardhin Karbala
Apne lahu ki shaabaani se (roshan jo kirdaar kare) x2
Har zaalim aur har jaawir ki bay’at se inkaar kare
Iski thokar par rehta ho zaalim ka har tarz-e-jafaa
Arzo samaa mei gunj rahi hai aaj bhi ye bas ek sadaa
Kullu yawmin Ashura kullu ardhin Karbala
Tuti hai woh sab taarikhe (dil mei Ali ka naam nahi) x2
Dil mei huseini subha nahi hai dil mei huseini Shaam nahi
Apne lahu se tu jo likhega aisi ik taarikh banaa
Arzo samaa mei gunj rahi hai aaj bhi ye bas ek sadaa
Kullu yawmin Ashura kullu ardhin Karbala
Pehli ki is pyaasi dunya mei (ilm ka darya koi nahi) x2
Har jaanib ik karbobala hai ibne Zahra koi nahi
Ik sajda khanjar ke tale ab kon karega aaj adaa
Arzo samaa mei gunj rahi hai aaj bhi ye bas ek sadaa
Kullu yawmin Ashura kullu ardhin Karbala
Inke azadaron mei logo (inka kuch andaaz bhi ho) x2
Matam ki Awaaz mei shamil halmin ki aawaaz bhi ho
Inka juloos-e-matam hai ye kuch to unka aas banaa
Arzo samaa mei gunj rahi hai aaj bhi ye bas ek sadaa
Kullu yawmin Ashura kullu ardhin Karbala
Auno Mohamed akbaro qaasim (rutbah inka kam kya hai) x2
Din ki pyaas buja dete hai khud pyaase hai gham kya hai
Uske bande maqtal mei bhi hote hairaan dee(n) ba raza
Arzo samaa mei gunj rahi hai aaj bhi ye bas ek sadaa
Kullu yawmin Ashura kullu ardhin Karbala
Insanon ka qaatil hai jo (usse hamari baat nahi) x2
Haakim jo bhi fasiq hoga uska hamara saath nahi
Apni manzil apna rasta halmin naasir yansurna
Arzo samaa mei gunj rahi hai aaj bhi ye bas ek sadaa
Kullu yawmin Ashura kullu ardhin Karbala
Deeno(n) mei kuch aatish-e-imaan (honthon par quraan nahi) x2
Warna to aasaan bohot hai inse wafaa aasaan nahi
Waqt ki aandhi tez bohot hai koun jalaaye aaj diya