Haaye mei hogayi
(Haae Faryaad) x6
Haae mei hogayi beparda, ye zulm huwa baba, mei hogayi beparda
Jis waqt ridaae chinti thi bimaar ka jalta tha bistar
(Us waqt kahaan the baba) x2, jab koi na tha mera
Haae mei hogayi beparda, ye zulm huwa baba, mei hogayi beparda
Tha shukr ka sajda maine kiya pohnchi jo dare khaima pe khabar
(Qurbaan kiya bachon ko) x2, bhai na bacha mera
Haae mei hogayi beparda, ye zulm huwa baba, mei hogayi beparda
Paamaal kiya ghoro ne badan faryaad kare ik shab ki dulhan
(Paamaal huwa tha pyaasa) x2, qaasim ka mere laasha
Haae mei hogayi beparda, ye zulm huwa baba, mei hogayi beparda
Thi nehr kinaare mashk pari saahil ke pare the do baazu
(kyun aap na aaye baba) x2, mei roti rahi baba
Haae mei hogayi beparda, ye zulm huwa baba, mei hogayi beparda
Mei naade ali dohraati rahi pohnchi na najaf tak meri sada
(dekhoge bhala tum kaise) x2, bechadar sar mera
Haae mei hogayi beparda, ye zulm huwa baba, mei hogayi beparda
Deti thi sada baba baba kaano mei chubhan jab hoti thi
(Tha khouf use zaalim ka) x2, daman bhi jala uska
Haae mei hogayi beparda, ye zulm huwa baba, mei hogayi beparda
Nana ka din bachaane ko mei qaide sitam mei jaati hun
(sunlo ye guzaarish meri) x2, nana se nahi kehna
Haae mei hogayi beparda, ye zulm huwa baba, mei hogayi beparda
Majlis mei bapaa hoga matam haq purse ka yun hoga adaa
(har ankh karegi giryaa) x2, jab gunjega nawha