Jhula jhulaaye audio file

Jhula jhulaaye

(Jhula jhulaaye Maa Lori Sunaye) x4

  1. (Raato ko uth kar) x2 paani pilaye
  2. (Jhula jhulaaye Maa Lori Sunaye) x2

  3. Maa Naad-e-Ali parh ke usse Deti hai lori
  4. (Chut'ti hi nahi hatho se jhule ki woh dori) x2

    Behthi hay woh Juhle ko kaleje se lagaye

    (Jhula jhulaaye Maa Lori Sunaye) x2

  5. Jonka bhi hawaa kaa jo zaraa tezi se guzre
  6. (Ati hay pareshani nazar chehre pe uske) x2

    kehti hai mere laal ko koyi naa jagaye

    (Jhula jhulaaye Maa Lori Sunaye) x2

  7. Ankhei(n) wo sitara se woh lab phool kay jaise
  8. (paishani pe tewar nazar aate hai Ali ke)x2

    Allaha nazar waqt sadaa kisko bachaaye.

    (Jhula jhulaaye Maa Lori Sunaye) x2

  9. Lagtaa hai koi khwaab hasee(n) dekh raha hai
  10. (yaa kano me gunji huwi Hal min ki sadaa hai)x2

    ????? hai law fitrat-e-sarwar se lagaaye

    (Jhula jhulaaye Maa Lori Sunaye) x2

  11. Andaaz mei lori ke guloo(n) karti hai baatei(n)
  12. (Kehti hai museebat ke hai jin sabr ki raatei(n)) x2

    Peyghaam ajal ke hai gham-o-ranj ke saare

    (Jhula jhulaaye Maa Lori Sunaye) x2

  13. Ay laal meri abru hai tere hawaale
  14. (kal subh-e-shahadat hai mere ghar ke ujaale) x2

    Aisa na ho tu maut se aankhei(n) na milaaye

    (Jhula jhulaaye Maa Lori Sunaye) x2

  15. Qurbaaniyaa(n) kal pesh har ik maa ko hai karna
  16. (ab laaj meri tumko mere laal hai rakhna) x2

    Aisa na ho tu khun mei apne na nahaaye

    (Jhula jhulaaye Maa Lori Sunaye) x2

  17. Maaloom hai pani tujhe denge na sitamghar
  18. (Pani tumhe pina hai meri jaa(n) lab-e-qausar) x2

    Beytar hai ke tu jaanib-e-darya nahi jaaye

    (Jhula jhulaaye Maa Lori Sunaye) x2

  19. Qad mei tu bara na sahe jurrat mei hai Akbar
  20. (bachpan mei numaaya hai alamdar ke teywar) x2

    Mei chahti hu(n) foj-e-adu ko tu rulaaye

    (Jhula jhulaaye Maa Lori Sunaye) x2

  21. Jab teer chale shaah pe gardan ko barhaana
  22. (Bazu shah-e-wala ka hai ab tumko bachana) x2

    Tum rok na baba ki taraf teer jo aaye

    (Jhula jhulaaye Maa Lori Sunaye) x2

  23. Haq nusrat-e-shabbir ka kuch aise ada ho
  24. (Hazrat ki sipar ran mei tera khushk gala ho) x2

    Maula pe chale teer magar zakhm tu khaaye

    (Jhula jhulaaye Maa Lori Sunaye) x2

  25. Jab khayme mei laasha Ali Asghar ka tha aaya
  26. (Halq-e-Ali Asghar ka diya Bano ne bosa) x2

    Shabbir the "Rehan" khare sar ko jhukaaye

    (Jhula jhulaaye Maa Lori Sunaye) x2

  27. (Raato ko uth kar) x2 paani pilaye

(Jhula jhulaaye Maa Lori Sunaye) x2