Jis ka jee chahey audio file
Jis ka jee chahey
Ali(AS) Ke Zikr Ki Mehfil Sajaye Jis Ka Jee Chahey
- Kamaye Khuld Jitni Jee Main Aaye Jis Ka Jee Chahey
- Kare Matam Obhare Naqsh Matam Ke Sar-E-Seena
Khud Apne Haath Se Sooraj Banaye Jis Ka Jee Chahey
- Jo Hoga Mard Khaiber Main Alam Paye Ga Kal Wohi
Nabi(SW) Tau Keh Chuke Ab Til Milaye Jis Ka Jee Chahey
- Alam Abbas(AS) Ka Aali Nasab Insaa Othate Hain
Yeh Who Parcham Nahi Aaye Othaye Jis Ka Jee Chahey
- Ali(AS) Ke Naam Ka Naara Laga Ker Chehrey Parh Parh Ker
Sare Mehfil Nasab Naamey Sunaye Jis Ka Jee Chahey
- Kiya Hai Khalq Jis Ne Aag Ko Us Ki Ijazat Hai
Ali(AS) Ke Dushmano Ka Jee Jalaye Jis Ka Jee Chahey
- Lahoo Pakeeza Ho Ga Jaan Chut Jaaye Gi Har Gham Se
Azadari Ka Nuskha Aazmaye Jis Ka Jee Chahey
- Najaf Hai Yeh Nikal Bahir Yeh Woh Basti Nahi Waaiz
Chala Aaye Jaha Per Mau Othaye Jis Ka Jee Chahey
- Wila Ke Noor Main Gohar Ki Tarha Gusl Farma Ker
Sada Suraj Ki Tarha Jagmagaye Jis Ka Jee Chahey
- Kamaye Khuld Jitni Jee Main Aaye Jis Ka Jee Chahey
Ali(AS) Ke Zikr Ki Mehfil Sajaye Jis Ka Jee Chahey