Hai Jashan Shaam
Mai audio file
Hai Jashan Shaam Mai
(Ya
Hussain) x8
(Hai
jashan shaam mai burpa kay
qaidi aaye hai(n) x2
Samma hai eid
ka yoon baam-o-dar sajaye hai(n)
(Hai
jashan shaam mai burpa kay
qaidi aaye hai(n) x2
1.
Laho tapakta hai aankhoo
say aansoo ki jaga
Hai(n) saath maaey
phophi aur behn rasan basta
Yehi sabaab hai jo
Abid(a.s) bhi sar
jhokaye hai(n)
(Hai jashan shaam mai
burpa kay qaidi aaye hai(n) x2
2.
Kaha ye Sani-e-Zehra(s.a.)
nay roo kay Fizza(s.a) say
Hamara jurm hai kya
koi ye bataye mujhay
Kyou daikhnay ko tamasha
ye loog aaye hai(n)
(Hai jashan shaam mai
burpa kay qaidi aaye hai(n) x2
3.
Sinna pay
partha hai quraa meray Hussain(a.s.) ka sar
Bani hai parda hamaray
saroo ki khaq-e-safar
Ye
kaisay dinn hai(n) muqadar nay jo dikhaye hai(n)
(Hai jashan shaam mai
burpa kay qaidi aaye hai(n) x2
4.
Jo pohnchay ahl-e-haram loot kay ghar pay Sheeree kay
Kaha ye poochnay per oss kay ro kay
Zainab(s.a.) nay
Jo
waada tujhh say kiya thaa nibhanay
aaye hai(n)
(Hai jashan shaam mai
burpa kay qaidi aaye hai(n) x2
5.
Ali(a.s) kay lehjay may Zainab(s.a) khitaab kerti
hai(n)
Nifaq-o-kufar ko youn
benaqab kerti hai(n)
Kay
jaisay kaabay may baba nay bott giraye
hai(n)
(Hai jashan shaam mai
burpa kay qaidi aaye hai(n) x2
6.
Buss aab tu rok lo aapnay qalam
ko aye Ashhar
Ali
kai nohay sai burpa howa
hai ekk mehshar
Jinna say
rotay howay Unbiaa bhi aaye
hai(n)
(Hai jashan shaam mai
burpa kay qaidi aaye hai(n) x2