Chut kar watan
Khon se charagh deen ka jalaya hussain ne
Chout ker watan se chen na paya hussain ne
Sehra-e-kerbala ko basaya hussain ne
Muqtal ko kerbala ke sajaya hussain ne
Khun se charagh deen ka jalaya hussain ne
Chut ker watan se chen na paya hussain ne
Jo bhi thei shah-e-deen ke tarafdar sub gaye
Tunha hain ab hussain madadgar sub gaye
Lasha her ek jaree ka uthaya hussain ne
Khun se charagh deen ka jalaya hussain ne
Chut ker watan se chen na paya hussain ne
Akber se nojawan ki shahadat bhi ho chuki
Asghar ki maut yani qayamat bhi ho chuki
Dhonda mager kise ko na paya hussain ne
Khun se charagh deen ka jalaya hussain ne
Chut ker watan se chen na paya hussain ne
Akber jo thei jaan se piyare chaley gaye
Abbas thei dilon ke saharay chaley gaye
Kya kya na dagh senae pe khaya hussain ne
Khun se charagh deen ka jalaya hussain ne
Chut ker watan se chen na paya hussain ne
Teghoun ka waar aun-o-mohammad ne kha liya
Asghar ne huns ke baar kazza ka utha liya
Necha yazeediut ko dekhaya hussain ne
Khun se charagh deen ka jalaya hussain ne
Chut ker watan se chen na paya hussain ne
Saydaniyoun pe kurb ke saaut guzer gayee
Aulad-e-mustafa pe qayamat guzer gayee
Dagh-e-piser kalaije pe khaya hussain ne
Khun se charagh deen ka jalaya hussain ne
Chut ker watan se chen na paya hussain ne
Jo mer gaya wafa pe wafadar ke kasum
Zanjeer-e-paye abid-e-bemar ki kasum
Rah-e-khuda me ghar ko lotaya hussain ne
Khun se charagh deen ka jalaya hussain ne
Chut ker watan se chen na paya hussain ne
Ye dhoop aur ye pyas ki shidut ghazub hoa
Jo ahl-e-huq they un ki shahadat ghazub hoa
Huq ke riza me ser ko kataya hussain ne
Khun se charagh deen ka jalaya hussain ne
Chut ker watan se chen na paya hussain ne
Durya pe mer gaya jawan bhai na ghum kiya
Hathon pe tifl ko ajul aee na ghum kiya
Aisa "ali" kamal dikhaya hussain ne